koī  bhī  ham-safar  nahīñ  hotā
dard  kyuuñ  raat  bhar  nahīñ  hotā
rāh-e-dil  ḳhud-ba-ḳhud  hai  mil  jaatī
koī  bhī  rāhbar  nahīñ  hotā
aah  kā  bhī  na  zikr  kar  ai  dil
aah  meñ  bhī  asar  nahīñ  hotā
dil  ko  āsūdgī  bhī  kyūñkar  ho
ġham  se  shīr-o-shakar  nahīñ  hotā
aah  ai  be-ḳhabar  ye  be-ḳhabarī
dil-e-nādāñ  ḳhabar  nahīñ  hotā
dil  kī  rāheñ  judā  haiñ  duniyā  se
koī  bhī  rāhbar  nahīñ  hotā
ab  to  mahfil  se  chal  diyā  'farhat'
ab  kisī  kā  guzar  nahīñ  hotā