dilbar  kahā  rafīq  kahā  chāragar  kahā
jo  kuchh  bhī  tum  ko  ham  ne  kahā  soch  kar  kahā
vo  tum  ki  ham  ko  aaj  bhī  muḳhlis  na  kah  sake
aur  ham  ne  saarī  umr  tumheñ  mo'atabar  kahā
ye  raunaqeñ  jahān  kī  mansūb  tum  se  kiiñ
phir  un  tajalliyoñ  ko  harīm-e-nazar  kahā
pursish  tirī  fareb  tasallī  tirī  fareb
vo  dil  kī  baat  thī  jise  duniyā  kā  Dar  kahā
tere  nuqūsh-e-pā  ko  batāyā  hai  kahkashāñ
terī  galī  ke  zarroñ  ko  shams-o-qamar  kahā
sab  mutma.in  the  dekh  ke  āzādiyāñ  mirī
mere  zamīr  ne  mujhe  be-bāl-o-par  kahā
un  par  to  koī  harf  na  aane  diyā  'ziyā'
jo  guzrī  us  ko  gardish-e-shām-o-sahar  kahā