aao  taqdīr  ko  tadbīr  banā  kar  dekheñ
in  añdheroñ  ko  ujāloñ  se  milā  kar  dekheñ
aaj  zālim  ko  bhī  majbūr  banā  kar  dekheñ
hashr  se  pahle  hī  ik  hashr  uThā  kar  dekheñ
in  butoñ  se  to  koī  kaam  na  niklā  apnā
ḳhair  ab  yūñhī  sahī  yād-e-ḳhudā  kar  dekheñ
chāñd-tāroñ  meñ  jo  ābād  hue  jaate  haiñ
vo  kisī  dil  meñ  bhī  ghar  apnā  banā  kar  dekheñ
kaun  apnā  hai  yahāñ  kaun  hai  begāna  'ziyā'
dhajjiyāñ  ham  bhī  to  dāman  kī  uḌā  kar  dekheñ