tū  nahīñ  hogā  magar  ye  silsilā  rah  jā.egā
tere  hone  kā  tasavvur  jā-ba-jā  rah  jā.egā
qurbatoñ  kī  raah  se  ho  kar  guzar  jā.eñge  ham
manziloñ  par  darmiyāñ  bas  fāsla  rah  jā.egā
kis  ne  sochā  thā  ki  ye  itnā  hasīñ  ik  vāqi.a
ek  din  siine  meñ  ban  kar  hādsa  rah  jā.egā
rāh-e-dil  ko  rauñd  kar  aage  nikal  jā.eñge  log
aañkh  meñ  uThtā  ġhubār-e-qāfila  rah  jā.egā
maiñ  kahīñ  kho  jā.ūñgā  le  kar  nigāh-e-shuq-e-dīd
tū  charāġh-e-husn  le  kar  DhūñDhtā  rah  jā.egā
kyā  yūñhī  ḳhāmosh  duniyā  se  guzar  jā.eñge  ham
kyā  jo  kahnā  hai  vo  sab  kuchh  an-kahā  rah  jā.egā
jab  kahīñ  kuchh  bhī  nahīñ  thā  bas  ḳhudā  thā  aur  phir
jab  kahīñ  kuchh  bhī  na  hogā  bas  ḳhudā  rah  jā.egā