yūñhī  aksar  mujhe  samjhā  bujhā  kar  lauT  jaatī  hai
kisī  kī  yaad  mere  paas  aa  kar  lauT  jaatī  hai
maiñ  bad-qismat  vo  gulshan  huuñ  ḳhizāñ  jis  kā  muqaddar  hai
bahār  aatī  hai  darvāze  se  aa  kar  lauT  jaatī  hai
use  apnā  banāne  meñ  bhī  ik  anjān  sā  Dar  hai
duā  hoñToñ  talak  aatī  hai  aa  kar  lauT  jaatī  hai
maiñ  apnī  qaid  ko  hī  apnī  āzādī  samajh  lūñgā
rihā.ī  mujh  ko  zanjīreñ  lagā  kar  lauT  jaatī  hai
agar  itnī  hī  sarkash  hai  to  mujh  pe  kyuuñ  nahīñ  girtī
vahī  bijlī  jo  merā  ghar  jalā  kar  lauT  jaatī  hai
vahāñ  par  bhī  charāġh-e-ārzū  ham  ne  jalā.e  haiñ
jahāñ  se  raushnī  bhī  sar  jhukā  kar  lauT  jaatī  hai
use  maiñ  dekh  to  letā  huuñ  lekin  chhū  nahīñ  paatā
koī  shai  hai  jo  mere  paas  aa  kar  lauT  jaatī  hai