hijr  meñ  āñkheñ  aañsū  ban  kar  bah  jaatī  haiñ  sochā  na.iiñ
vo  bhī  us  din  ġhusse  meñ  thā  aur  maiñ  ne  bhī  rokā  na.iiñ
kitnā  mushkil  hai  ye  kahnā  maiñ  terā  ho  saktā  na.iiñ
phir  bhī  maiñ  tujh  ko  ye  dukh  to  de  saktā  huuñ  dhoka  na.iiñ
ek  jagah  par  Thahrī  āñkheñ  gahrī  socheñ  ḳhāmoshī
kab  tak  ḳhud  pe  zulm  karoge  is  ko  vāpas  aanā  na.iiñ
is  se  bichhaḌ  kar  soch  rahā  huuñ  us  ko  bhulāne  kī  tarkīb
log  sharāb  piyā  karte  haiñ  maiñ  cigarette  tak  piitā  na.iiñ
shikve  mujh  ko  bhī  hote  haiñ  merā  dil  bhī  dukhtā  hai
apne  andar  ghuT  jaatā  huuñ  merī  jaan  maiñ  kahtā  na.iiñ
kis  darja  nuqsān  uThāyā  hai  ham  ishq  faqīroñ  ne
jitnā  tujh  ko  kho  baiThe  haiñ  utnā  tujh  ko  paayā  na.iiñ
ye  pariyoñ  se  chehre  jin  par  jaan  chhiḌakte  haiñ  ham  log
mujh  ko  in  peḌoñ  ke  nīche  dhuup  milī  hai  saaya  na.iiñ
kitnī  ummīdeñ  hotī  haiñ  un  ko  ik  haañ  sunñe  kī
lekin  aksar  pūchhne  vāloñ  ke  hisse  meñ  aayā  na.iiñ