hamīñ  par  dhuup  barsātā  hai  sūraj  bhī  muqaddar  bhī
daraḳht-e-mehrbāñ  koī  kare  saaya  to  ham  par  bhī
ayaañ  hotī  chalī  jaatī  haiñ  sab  chehre  kī  tahrīreñ
huī  jaatī  hai  nā-kāfī  ḳhamoshī  kī  ye  chādar  bhī
badan  kī  raushnī  meñ  jo  na  dekhā  jā  sakā  ham  se
usī  shīshe  ke  paikar  meñ  dhaḌaktā  thā  vo  patthar  bhī
haqīqat  se  tasavvur  tak  safar  mujh  meñ  kiyā  us  ne
magar  mujh  tak  nahīñ  pahuñchā  vo  itnī  duur  chal  kar  bhī
koī  mūsā-o-īsā-o-mohammad  ab  na  aa.egā
hamāre  nā-tavāñ  shānoñ  pe  hai  kār-e-payambar  bhī