dil-e-shikasta  kī  nīm-jāñ  ḳhvāhishoñ  ko  jiinā  sikhā  rahī  hai
nigāh-e-afsūñ-bayān  us  kī  butoñ  se  sajda  karā  rahī  hai
ye  phuul  ḳhushbū  ye  chāñd-tāre  ye  girtī  būñdeñ  ye  abr-pāre
sab  us  kī  aamad  ke  muntazir  haiñ  vo  ḳhud  ko  sabse  chhupā  rahī  hai
jo  reg-e-dil  pe  likhā  hai  us  ko  dukhoñ  kā  paanī  miTā  na  Daale
maiñ  ḳhvāb  dekhe  hī  jā  rahā  huuñ  ye  aañkh  barse  hī  jā  rahī  hai
kabhī  ḳhamoshī  kabhī  tabassum  kabhī  ḳhayāloñ  kī  dhuñd  meñ  gum
mirī  udāsī  to  har  qadam  par  qabā  badaltī  hī  jā  rahī  hai
vo  ḳhush-bayāñ  'imtiyāz'  vo  lafz  lafz  jaadū  chalāne  vaalā
vo  kal  milā  thā  to  kah  rahā  thā  ḳhamoshī  andar  se  khā  rahī  hai