tārāj  ḳhvāhishoñ  kā  mudāvā  na  ho  sakā
koī  hamāre  vāste  iisā  na  ho  sakā
itnī  shadīd  dhuup  thī  mujh  pe  ki  umr-bhar
abr-o-daraḳht  se  kabhī  saaya  na  ho  sakā
nīñdoñ  meñ  chhoḌ  kar  hameñ  aage  nikal  gayā
ham  se  us  ek  ḳhvāb  kā  pīchhā  na  ho  sakā
guzre  phir  ek  baar  to  donoñ  ke  darmiyāñ
vo  vāqi.a  jo  tuur  pe  puurā  na  ho  sakā
dahkān-e-ġham  ne  ḳhuun  se  sīñchī  zamīn-e-dil
lekin  ye  dasht  dasht  thā  sabza  na  ho  sakā