āḳhir  ḳhud  apne  hī  lahū  meñ  Duub  ke  sarf-e-viġhā  hoge
qadam  qadam  par  jañg  laḌī  hai  kahāñ  kahāñ  barpā  hoge
haal  kā  lamha  patthar  Thahrā  yuuñ  bhī  kahāñ  guzartā  hai
haath  milā  kar  jaane  vaalo  dil  se  kahāñ  judā  hoge
maujoñ  par  lahrāte  tinko  chalo  na  yuuñ  itrā  ke  chalo
aur  zarā  ye  dariyā  utrā  tum  bhī  lab-e-dariyā  hoge
socho  khoj  milā  hai  kis  ko  raah  badalte  tāroñ  kā
is  vahshat  meñ  chalte  chalte  aap  sitāra  sā  hoge
siine  par  jab  harf-e-tamannā  dard  kī  sūrat  utregā
ḳhudī  aañkh  se  Tapkoge  aur  ḳhud  hī  dast-e-duā  hoge
sūkhe  peḌoñ  kī  sab  lāsheñ  ġharq  kaf-e-sailāb  meñ  haiñ
qaht-e-āb  se  marte  logo  bolo  ab  kyā  chāhoge
baat  ye  hai  is  baaġh  meñ  phuul  se  pattā  honā  achchhā  hai
rañg  aur  ḳhushbū  bāñToge  to  pahle  rizq-e-havā  hoge
ai  mere  nā-gufta  shero  ye  to  batāo  mere  ba.ad
kaun  se  dil  meñ  qarār  karoge  kis  ke  lab  se  adā  hoge