merī  sūrat  sāya-e-dīvār-o-dar  meñ  kaun  hai
ai  junūñ  mere  sivā  ye  mere  ghar  meñ  kaun  hai
Thiik  hai  ai  zabt-e-ġham!  aañsū  koī  Tapkā  nahīñ
par  ye  dil  se  aañkh  tak  paiham  safar  meñ  kaun  hai
vo  to  kab  kā  apnī  manzil  par  pahuñch  kar  so  chukā
chāñd  kyā  jaane  ki  rāh-e-pur-ḳhatar  meñ  kaun  hai
maiñ  to  us  sūrat  kā  dīvāna  huuñ  par  ai  zindagī!
sūrat-e-yak-umr  haa.il  sañg  o  sar  meñ  kaun  hai
ḳhaak  chhanvātī  hai  ye  rātoñ  ko  kis  kī  justujū
chāñdnī  kī  tarah  phailā  dasht  o  dar  meñ  kaun  hai
ek  chehra  mustaqil  ashkoñ  ke  ā.īne  meñ  hai
kuchh  batā  ai  umr-e-ġham  āḳhir  nazar  meñ  kaun  hai
paañv  meñ  lipTī  huī  hai  sab  ke  zanjīr-e-anā
sab  musāfir  haiñ  yahāñ  lekin  safar  meñ  kaun  hai
naġhma-e-jāñ  sunñe  vaalo  ye  takalluf  tā-ba-kai
Dhā  ke  ye  dīvār  bhī  dekho  ki  ghar  meñ  kaun  hai