dil  thā  pahlū  meñ  to  kahte  the  tamannā  kyā  hai
ab  vo  āñkhoñ  meñ  talātum  hai  ki  dariyā  kyā  hai
shauq  kahtā  hai  ki  har  jism  ko  sajda  kiije
aañkh  kahtī  hai  ki  tū  ne  abhī  dekhā  kyā  hai
TuuT  kar  shāḳh  se  ik  barg-e-ḳhizāñ-āmāda
sochtā  hai  ki  guzartā  huā  jhoñkā  kyā  hai
kyā  ye  sach  hai  ki  ḳhizāñ  meñ  bhī  chaman  khilte  haiñ
mere  dāman  meñ  lahū  hai  to  mahaktā  kyā  hai
dil  pe  qaabū  ho  to  ham  bhī  sar-e-mahfil  dekheñ
vo  ḳham-e-zulf  hai  kyā  sūrat-e-zebā  kyā  hai
Thahro  aur  ek  nazar  vaqt  kī  tahrīr  paḌho
reg-e-sāhil  pe  ram-e-mauj  ne  likhā  kyā  hai
koī  rahbar  hai  na  rasta  hai  na  manzil  'tausīf'
ham  ki  gard-e-rah-e-sar-sar  haiñ  hamārā  kyā  hai