bajā  ki  darpai-e-āzār  chashm-e-tar  hai  bahut
palaT  ke  ā.ūñgā  maiñ  garche  ye  safar  hai  bahut
Thahar  sako  to  Thahar  jaao  mere  pahlū  meñ
vo  dhuup  hai  ki  yahī  sāya-e-shajar  hai  bahut
darīda  bāheñ  ḳhizāñ  meñ  pukārtī  haiñ  chalo
havā-e-tund  meñ  har  shāḳh  be-sipar  hai  bahut
kahūñ  to  vo  mirī  rūdād-e-dard  bhī  na  sune
ki  jaise  us  ko  mire  haal  kī  ḳhabar  hai  bahut
kalī  ḳhumār  ke  aalam  meñ  kasmasātī  hai
khulī  hai  aañkh  magar  niiñd  kā  asar  hai  bahut
mirā  qadam  hī  nahīñ  hijr  meñ  bagūla-sifat
bichhaḌ  ke  mujh  se  tirā  ġham  bhī  dar-ba-dar  hai  bahut
haiñ  muntazir  ki  ye  dariyā-e-dard  kab  utre
haiñ  ḳhush  ki  dil  kā  safīna  to  mauj  par  hai  bahut
na  ḳhalvat-e-ġham-e-duniyā  na  bazm-e-jāñ  'tausīf'
tumhāre  vāste  ik  bekasī  kā  ghar  hai  bahut