gard-ālūd  darīda  chehra  yuuñ  hai  maah  o  saal  ke  ba.ad
jaise  falak  bārish  se  pahle  jaise  zamīñ  bhauñchāl  ke  ba.ad
murda  logoñ  kī  bastī  meñ  suntā  huuñ  āvāzeñ  sī
jaise  maqtal  kā  sannāTā  bole  aam  qitāl  ke  ba.ad
hijr  to  pahle  bhī  aayā  thā  lekin  ab  vahshat  hai  aur
chaltī  havā  se  laḌte  haiñ  ham  ek  parī-timsāl  ke  ba.ad
bhar  jā.eñgī  jis  dam  shāḳheñ  sabz  mahakte  pattoñ  se
jogī  aate  jaate  mausam  lauTeñge  phir  saal  ke  ba.ad
raat  badan  yuuñ  lau  dete  the  jaise  sandal  jaltā  ho
lekin  dil-e-dīvāna  chāhe  aur  bhī  kuchh  ho  visāl  ke  ba.ad
gar  socheñ  to  hijr-zadoñ  ne  yuuñ  bhī  paa.ī  umr  baḌī
uTThe  dil  meñ  dard  se  pahle  baiThe  gard  malāl  ke  ba.ad
kaun  se  dukh  ko  palle  bāñdheñ  kis  ġham  ko  tahrīr  kareñ
yaañ  to  dard  sivā  hotā  hai  aur  bhī  arz-e-hāl  ke  ba.ad