marte  marte  raushnī  kā  ḳhvāb  to  puurā  huā
bah  gayā  saarā  lahū  tan  kā  to  din  aadhā  huā
rāstoñ  par  peḌ  jab  dekhe  to  aañsū  aa  ga.e
har  shajar  saaya  thā  terī  yaad  se  miltā  huā
sub.h  se  pahle  badan  kī  dhuup  meñ  niiñd  aa  ga.ī
aur  kitnā  jāgtā  maiñ  raat  kā  jaagā  huā
shahr-e-dil  meñ  is  tarah  har  ġham  ne  pahchānā  mujhe
jaise  merā  naam  thā  dīvār  par  likkhā  huā
ziist  ke  pur-shor  sāhil  par  ga.e  lamhoñ  kī  yaad
jis  tarah  saaya  ho  sat.h-e-āb  par  Thahrā  huā
ġham  hue  vo  āshnā  chehroñ  ke  ā.īne  kahāñ
shahr  hai  saare  kā  saarā  dhund  meñ  lipTā  huā
vasl  ke  bādal  zarā  tham  husn-e-qāmat  dekh  luuñ
pyaas  kā  sahrā  to  hai  tā-chashm-e-tar  phailā  huā
mujh  ko  āshob-e-hikāyat  jaan  lene  kī  havas
aur  ye  terā  badan  ik  dāstāñ  kahtā  huā
ġham  jo  miltā  hai  to  ai  tausīf  siine  se  lagāo
kis  ne  lauTāyā  hai  yuuñ  mehmān  ghar  aayā  huā