thā  pas-e-mizhgān-tar  ik  hashr  barpā  aur  bhī
maiñ  agar  ye  jāntā  shāyad  to  rotā  aur  bhī
paañv  kī  zanjīr  girdāb-e-balā  hotī  agar
Dūbte  to  sat.h  par  ik  naqsh  bantā  aur  bhī
āñdhiyoñ  ne  kar  diye  saare  shajar  be-barg-o-bār
varna  jab  patte  khaḌakte  dil  laraztā  aur  bhī
rauzan-e-dar  se  havā  kī  siskiyāñ  sunte  raho
ye  na  dekho  hai  koī  yaañ  ābla-pā  aur  bhī
har  taraf  āvāz  ke  TuuTe  hue  girdāb  haiñ
raushnī  kam  hai  magar  chaltā  hai  dariyā  aur  bhī
sirf  tū  hotā  to  terā  vasl  kuchh  mushkil  na  thā
kyā  kareñ  tere  sivā  kuchh  ham  ne  chāhā  aur  bhī
aarzū  shab  kī  masāfat  hai  to  tanhā  kāTiye
din  ke  mahshar  meñ  to  ho  jā.eñge  tanhā  aur  bhī