vo  avvalīñ  dard  kī  gavāhī  sajī  huī  bazm-e-ḳhvāb  jaise
vo  chashm-e-surma  kalām  kartī  vo  saare  chehre  kitāb  jaise
vo  aañkh  sāya-fagan  hai  dil  par  jo  be-ḳhudī  kā  hai  isti.āra
ghulī  huī  nīlgūñ  samundar  meñ  tal.at-e-māhtāb  jaise
bas  ek  dhamāka  ki  raat  kī  sarhadoñ  kā  kuchh  to  surāġh  paa.eñ
bas  ek  chiñgārī  chāhtā  ho  fatīla-e-āftāb  jaise
vo  jis  kī  pādāsh  meñ  sahar-zād  apnī  āñkheñ  gañvā  chuke  haiñ
ik  aur  ta.abīr  chāhte  huuñ  vo  avvalīñ  shab  ke  ḳhvāb  jaise
vo  mauj-e-sarkash  jo  sāhiloñ  ko  Dubo  ga.ī  kaise  TūTtī  hai
is  ek  manzar  ke  dekhne  ko  khulī  ho  chashm-e-habāb  jaise
mirī  mizha  se  Tapaktā  aañsū  ho  jaise  har  Dūbtā  sitāra
likhā  gayā  ho  mirī  hī  palkoñ  pe  rat-jagoñ  kā  hisāb  jaise
lahū  jo  rizq-e-zamīñ  huā  hai  vo  bārishoñ  meñ  dhulā  nahīñ  hai
tamām  ā.inda  mausamoñ  ke  ho  naam  ye  intisāb  jaise