tum  achchhe  the  tum  ko  rusvā  ham  ne  kiyā
phir  kahnā,  kyā  tum  ne  kahā,  kyā  ham  ne  kiyā
aañsū  saare  palkoñ  hī  meñ  jazb  hue
dariyā  ko  tasvīr-e-dariyā  ham  ne  kiyā
ai  mere  dil  tanhā  dil  chup  chup  rahnā
pahle  bhī  to  shor  kiyā,  kyā  ham  ne  kiyā
naqsh-garo!  kab  ham  ne  manzar  badlā  hai
chāñdī  baal  aur  chehra  sonā  ham  ne  kiyā
aañsū  ne  dil  kā  har  daaġh  miTā  Daalā
paanī  se  phir  naqsh  huvaidā  ham  ne  kiyā
ḳhaak  jo  sahrā  sahrā  uḌtī  phirtī  thī
sar  meñ  Dālī,  ek  tamāshā  ham  ne  kiyā
ba.ad  apne  ab  kaun  bhalā  yaañ  aa.egā
apne  naam  pe  ḳhatm  ye  ḳhutba  ham  ne  kiyā