kitne  hī  tiir  ḳham-e-dast-o-kamāñ  meñ  hoñge
jin  ke  sofār  abhī  se  mirī  jaañ  meñ  hoñge
dil  hai  ab  ḳhāna-e-āseb-zada  kī  sūrat
zaḳhm  rauzan  isī  tārīk  makāñ  meñ  hoñge
ek  ham  hī  nahīñ  sar  meñ  liye  saudā-e-vafā
aur  bhī  kitne  mohabbat  ke  gumāñ  meñ  hoñge
sirf  tere  lab-o-ruḳh  kī  nahīñ  tasvīr-e-chaman
mere  bhī  ġham  ke  ka.ī  rañg  ḳhizāñ  meñ  hoñge
laḌkhaḌātā  huā  aayā  hai  mizha  tak  aañsū
rāste  kaise  dil-e-dard-nishāñ  meñ  hoñge
bar-mahal  hai  tah-e-ashjār  havā  kā  nauha
kal  ke  ġhunche  bhī  isī  dasht-e-ziyāñ  meñ  hoñge
hai  ḳhad-o-ḳhāl  kā  ambār  yahāñ  har  chehra
ham  vo  hoñge  jo  na  ḳhud  apne  gumāñ  meñ  hoñge