kaash  ik  shab  ke  liye  ḳhud  ko  mayassar  ho  jaa.eñ
farsh-e-shabnam  se  uTheñ  aur  gul-e-tar  ho  jaa.eñ
dekhne  vaalī  agar  aañkh  ko  pahchān  sakeñ
rañg  ḳhud  parda-e-tasvīr  se  bāhar  ho  jaa.eñ
tishnagī  jism  ke  sahrā  meñ  ravāñ  rahtī  hai
ḳhud  meñ  ye  mauj  samo  leñ  to  samundar  ho  jaa.eñ
vo  bhī  din  aa.eñ  ye  bekār  guzarte  shab-o-roz
terī  āñkheñ  tire  baazū  tirā  paikar  ho  jaa.eñ
apnī  palkoñ  se  jinheñ  noch  ke  pheñkā  hai  abhī
kyā  karoge  jo  yahī  ḳhvāb  muqaddar  ho  jaa.eñ
jo  bhī  narmī  hai  ḳhayāloñ  meñ  na  hone  se  hai
ḳhvāb  āñkhoñ  se  nikal  jaa.eñ  to  patthar  ho  jaa.eñ