modern  hīreñ  to  zar-dāroñ  ke  haañ  rah  jā.eñgī
aur  rāñjhoñ  ke  laboñ  par  murliyāñ  rah  jā.eñgī
ho  sake  to  tum  bachā  lo  ab  bhī  desī  nasl  ko
varna  pīchhe  sirf  ''shevar''  murġhiyāñ  rah  jā.eñgī
''sunflower''  ho  gayā  hai  ibn-e-ādam  kī  ġhizā
ab  chaman-zāroñ  meñ  goyā  sabziyāñ  rah  jā.eñgī
chhoTī  qaumoñ  par  agar  ''veto''  kā  laTh  chaltā  rahā
sirf  ''uñ.o''  meñ  ġhunDa-gardiyāñ  rah  jā.eñgī
nek-sīrat  shauharoñ  ko  dekh  kar  hūroñ  ke  biich
ḳhuld  ke  andar  taḌap  kar  bīviyāñ  rah  jā.eñgī
zulmateñ  hoñgī  tavānā.ī  ke  is  bohrān  meñ
sirf  āñkhoñ  meñ  chamaktī  bijliyāñ  rah  jā.eñgī
murġh  par  fauran  jhapaT  dāvat  meñ  varna  ba.ad  meñ
shorba  aur  gardanoñ  kī  haDDiyāñ  rah  jā.eñgī
ghar  ke  gul-dānoñ  meñ  'shāhid'  phuul  hoñge  kāġhzī
aur  pardoñ  par  ''printed''  titliyāñ  rah  jā.eñgī