qābiz  rahā  hai  dil  pe  jo  sultān  kī  tarah
āḳhir  nikal  gayā  shah-e-īrān  kī  tarah
zāhir  meñ  sard  o  zard  hai  kāġhān  kī  tarah
lekin  mizāj  us  kā  hai  multān  kī  tarah
rāz-o-niyāz  meñ  bhī  akaḌ-fūñ  nahīñ  ga.ī
vo  ḳhat  bhī  likh  rahā  hai  to  chālān  kī  tarah
luqma  halāl  kā  jo  milā  ahl-kār  ko
us  ne  chabā  ke  thuuk  diyā  paan  kī  tarah
zikr  us  parī-jamāl  kā  jab  aur  jahāñ  chhiḌā
fauran  raqīb  aa  gayā  shaitān  kī  tarah
ik  lamha  us  kī  diid  huī  bas  kī  bhiiḌ  meñ
aur  phir  vo  kho  gayā  mire  ausān  kī  tarah
maiñ  mubtalā-e-qarz  rahā  chaar  saal  tak
vo  sirf  chaar  din  rahā  mehmān  kī  tarah
har  baat  ke  javāb  meñ  fauran  nahīñ  nahīñ
niklā  zabān-e-yār  se  gardān  kī  tarah
'shāhid'  se  kah  rahe  ho  ki  roze  rakhā  kare
har  maah  jis  kā  guzrā  hai  ramzān  kī  tarah