munāf.a  mushtarak  hai  aur  ḳhasāre  ek  jaise  haiñ
ki  ham  donoñ  kī  qismat  ke  sitāre  ek  jaise  haiñ
maiñ  ik  chhoTā  sā  afsar  huuñ  vo  ik  moTā  sā  ''mil-owner''
magar  donoñ  ke  income  goshvāre  ek  jaise  haiñ
ise  zo.af-e-basīrat  use  zo.af-e-basārat  hai
hamāre  dīda-var  saare  ke  saare  ek  jaise  haiñ
mutton  aur  daal  kī  qīmat  barābar  ho  ga.ī  jab  se
yaqīñ  aayā  ki  donoñ  meñ  ''harāre''  ek  jaise  haiñ
jahāñ  bhar  ke  siyāsī  dañgloñ  meñ  ham  ne  dekhā  hai
''anūkī''  ik  se  ik  ūñchā  hai  ''jhāre''  ek  jaise  haiñ
vo  thāna  ho  shifā-ḳhāna  ho  yā  phir  Dāk-ḳhāna  ho
rifāh-e-ām  ke  saare  idāre  ek  jaise  haiñ
surūr-e-jāñ-fazā  detī  hai  āġhosh-e-vatan  sab  ko
ki  jaise  bhī  hoñ  bachche  maañ  ko  pyāre  ek  jaise  haiñ
balā  kā  farq  hai  london  kī  gorī  aur  kaalī  meñ
magar  donoñ  kī  āñkhoñ  meñ  ishāre  ek  jaise  haiñ
har  ik  begam  agarche  munfarid  hai  apnī  saj-dhaj  meñ
magar  jitne  bhī  shauhar  haiñ  bichāre  ek  jaise  haiñ
koī  ḳhush-zauq  hī  'shāhid'  ye  nukta  jaan  saktā  hai
ki  mere  sher  aur  naḳhre  tumhāre  ek  jaise  haiñ
gumāñ  hotā  hai  'shāhid'  radio  par  sun  ke  mausīqī
ki  pakke  raag  aur  namkīñ  ġharāre  ek  jaise  haiñ