pūchhegā  jo  vo  rashk-e-qamar  haal  hamārā
ai  'mehr'  chamak  jā.egā  iqbāl  hamārā
saude  meñ  tirī  zulf  ke  likhte  haiñ  jo  ash.ār
hotā  hai  siyah  nāma-e-a.amāl  hamārā
abrū  kā  ishāra  kiyā  tum  ne  to  huī  iid
ai  jaan  yahī  hai  mah-e-shavval  hamārā
har  baar  dikhātā  hai  junūñ  ḳhāna-e-zanjīr
is  ghar  meñ  guzārā  huā  har  saal  hamārā
aate  hī  vo  kahte  haiñ  ki  jaate  haiñ  bas  ab  ham
be-chain  haiñ  mañgvā.iye  sukh-pāl  hamārā
mazmūñ  na  bañdhā  mū-e-kamar  kā  to  vo  bole
TeḌhā  na  huā  shā.iroñ  se  baal  hamārā
mahtāb  se  kahtā  hai  mirā  chāñd  kā  TukḌā
ruḳhsār  tirā  saaf  hai  yā  gaal  hamārā
tum  arsh  hilāte  ho  qadam  rakh  ke  zamīñ  par
is  chaal  se  dil  ho  gayā  pāmāl  hamārā
ik  pal  bhī  judā  dīda-e-tar  se  nahīñ  hotā
ab  aañkh  kā  parda  huā  rūmāl  hamārā
yaañ  ruuh  pe  hotā  hai  us  āvāz  kā  sadma
jī  legā  shab-e-vasl  meñ  ghaḌiyāl  hamārā
yaañ  ganj-e-ma.ānī  hai  to  vaañ  sīm-o-zar  ai  'mehr'
daulat  vo  baḳhīloñ  kī  hai  ye  maal  hamārā