rañg-e-sohbat  badalte  jaate  haiñ
saath  ke  yaar  chalte  jaate  haiñ
jin  kī  karte  ho  tum  masīhā.ī
vo  marīz  ab  sambhalte  jaate  haiñ
dil  meñ  hone  lagā  huzūr  kā  ghar
aap  sāñche  meñ  Dhalte  jaate  haiñ
zulf  ulajhte  hai  un  ke  bāloñ  se
saañp  kā  sar  kuchalte  jaate  haiñ
shā.eq-e-qatl  kū-e-qātil  meñ
kūdte  aur  uchhalte  jaate  haiñ
dekhte  haiñ  vo  apnā  joban  aap
ab  to  kuchh  kuchh  sambhalte  jaate  haiñ
ham  to  rote  udhar  se  aate  haiñ
aap  idhar  se  machalte  jaate  haiñ
'mehr'  so.e  the  kis  ke  saath  ki  sub.h
ThanDe  ThanDe  bhī  jalte  jaate  haiñ