Hatim Ali Mehr

badan-e-yar ki bu-bas uDa lae hawa

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
badan-e-yār kī bū-bās uḌā laa.e havā
jaan aa jaa.e jo vaañ ho ke yahāñ aa.e havā
badan-e-yār ko bas chhū ke na itrā.e havā
itr kī ban ke lapaT mujh se lipaT jaa.e havā
un ke kūche meñ ġhubār apnā uḌā kar le jaa.e
mujh pe ehsān kare mere bhī kaam aa.e havā
bañdh ga.ī baaġh meñ terī to havā bād-e-sabā
un ke kūche meñ mirī aah kī bañdh jaa.e havā
kyuuñ na ho bād-e-bahārī mujhe ye farmā.ish
kyuuñ na bāñdhūñ maiñ havā yaar jo bañdhvā.e havā
tū mile 'mehr' se ai mah yahī tārīḳh ho sach
gulshan-o-bāda-o-gul meñ tujhe garmā.e havā
Top Urdushayar.com