butoñ  kā  zikr  karo  vaa.iz  ḳhudā  ko  kis  ne  dekhā  hai
sharār-e-sañg-e-mūsā  ke  liye  barq-e-tajallā  hai
ye  hindostān  hai  yaañ  parbatoñ  kā  roz  melā  hai
ḳhudā  jaane  vo  but  ai  'mehr'  debī  hai  ki  durgā  hai
ye  hindostān  hai  yaañ  parbatoñ  kā  roz  melā  hai
koī  kālī-bhavānī  koī  debī  koī  durgā  hai
butān-e-hind  meñ  nām-e-ḳhudā  kab  koī  tujh  sā  hai
tirī  zulfeñ  haiñ  kaalī  ai  sanam  tū  aap  durgā  hai
dil-e-nālāñ  tumhāre  halqa-e-gesū  meñ  kahtā  hai
maiñ  hindostān  meñ  huuñ  kāfiroñ  ne  mujh  ko  gherā  hai
ye  kis  kāfir  kī  ḳhātir  'mehr'  chakkar  meñ  tū  rahtā  hai
ye  kis  ke  vāste  gardish  falak  ke  charḳh  puujā  hai
siyah  rūmāl  gorī  gorī  gardan  meñ  lapeTā  hai
gale  milvā  diyā  shām-e-sahar  ko  kyā  tamāshā  hai
galā  vo  gorā  gorā  us  pe  ik  rūmāl  kaalā  hai
vahī  aalam  mirī  āñkhoñ  meñ  ab  din-rāt  phirtā  hai
tasavvur  us  sanam  kā  hai  hameñ  ka.abe  se  kyā  matlab
charāġh  apnā  hai  dāġh-e-dil  hai  jo  mandir  meñ  jaltā  hai
kiyā  hai  ḳhuuñ  mire  dil  kā  balidān  is  ko  kahte  haiñ
ġham-e-furqat  vo  kāfir  hai  ki  durgā  paaTh  kartā  hai
judā  hai  ne.mat-e-duniyā  se  lazzat  bosa-e-lab  kī
vo  jogī  ho  gayā  jis  ne  ye  mohan-bhog  chakkhā  hai
sharārat  se  sharārat  hai  buto  lillāh  baaz  aao
jalāte  ho  jo  mere  dil  ko  tum  kyā  ye  bhī  lanka  hai
halāl  us  ne  kiyā  ḳhūn-e-musalmāñ  vaa.e  bedardī
tirā  dast-e-hinā.ī  kāfir  ab  ye  rañg  laayā  hai
hamesha  hai  ye  nālāñ  us  sanam  kī  yaad  meñ  yārab
jase  ham  dil  samajhte  the  vo  nāqūs-e-kalīsā  hai
baḌā  andher  hai  kyūñkar  na  ho  dil  ko  pareshānī
sarāsar  pech  kartī  hai  balā  zulf-e-chalīpā  hai
ajab  aalam  nazar  aayā  tire  kūcha  meñ  o  qātil
kahīñ  koī  sisaktā  hai  kahīñ  koī  taḌaptā  hai
kahāñ  vo  qad  kahāñ  ye  kunda-hā-e-nā-tarāshīda
na  sarv  aisā  hai  ne  shamshād  aisā  hai  na  tuubā  hai
batā  jaa.ez  hai  kis  maz.hab  meñ  ḳhūn-e-be-gunah  zālim
tū  hindū  hai  musalmāñ  hai  yahūdī  hai  ki  tarsā  hai
sune  murda  to  jī  uTThe  badan  meñ  ruuh  phir  aa.e
gale  meñ  ai  sanam  nām-e-ḳhudā  kyā  taan  palTā  hai
ḳhudā  aalam  hai  mazmūn-e-ḳhayālī  haiñ  tasavvur  meñ
na  mujh  ko  kuchh  ta.alluq  hai  na  merī  us  ko  parvā  hai
ḳhudā  jaane  kiyā  kis  but  ne  kāfir  ik  musalmāñ  ko
janev  hai  gale  meñ  'mehr'  ke  māthe  pe  Tiikā  hai
kiyā  kāfir  ne  kāfir  'mehr'  se  mard-e-musalmāñ  ko
janev  rishta-e-tasbīh  dāġh-e-sajda  Tiikā  hai