Hatim Ali Mehr

zulf andher karne wali hai

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
zulf andher karne vaalī hai
tum ne nāgan balā kī paalī hai
qalameñ ruḳhsār-e-yār par dekho
surḳh hai phuul sabz Daalī hai
ġhair par lutf hai sitam ham par
un kī jo baat hai nirālī hai
vaah kyā muñh se phuul jhaḌte haiñ
kitnī pyārī tumhārī gaalī hai
murġh-e-dil bhī hai saath chiḌiyā ke
jaal añgiyā kī un kī jaalī hai
shab-e-furqat ko dekh baḳht-e-siyāh
koī bhī raat itnī kaalī hai
kyuuñ qayāmat kī chaal chaltī ho
is meñ āshiq kī pā.emālī hai
dahan-e-yār kā patā na lagā
baat kahne ko ik banā lī hai
nāf-e-ma.ashūq saaf motī kī
nannhī-munnī sī ik pyālī hai
kyūñkar un ko duuñ mehr-o-mah se misāl
jin ko da.avā-e-be-misālī hai
rañg laa.ī gilauriyāñ kah kar
laal hoñThoñ pe aur laalī hai
dil tasavvur meñ mahv rahtā hai
āshiq-e-shāhid-e-ḳhayālī hai
kyuuñ hañsā.e na mujh se riñd ko bañg
duḳht-e-raz kī bahan hai saalī hai
dam ġhanīmat hai us masīhā kā
ab tabīboñ se shahr ḳhālī hai
ḳhaak uḌaa.ī hai un ke kūche kī
ham ne sar par zamīñ uThā lī hai
dil mirā le ke arsh par hai dimāġh
aur hī ab mizāj-e-ālī hai
kyuuñ butoñ kī hameñ mohabbat dī
kyā musībat ḳhudā ne Daalī hai
vaañ kabhī ġhair se kabhī ham haiñ
roz mauqūfī aur bahālī hai
de ke ik bosa-e-lab-e-jāñ-baḳhsh
tan-e-be-jāñ meñ jaan Daalī hai
kyā balā gorī gorī rañgat par
zulf kaalī hai aañkh kaalī hai
haal meñ shā.irī kā hai ye Dhañg
apnā jo sher hai vo haalī hai
dekho mujh par bahut sitam na karo
paas ai jaan kotavālī hai
ham se inkār vasl kā hai abas
hogī jo baat hone vaalī hai
un ke kūche meñ ḳhaak ho jaa.eñ
ham ne ik raah ye nikālī hai
yaar pahlū meñ hai na jām-e-sharāb
ye bhī ḳhālī hai vo bhī ḳhālī hai
hai sitam ye anīle-pan kā banāo
kaan meñ ek ek baalī hai
us ke maz.hab kā e.atibār hai kyā
'mehr' ik rind-e-lā-ubālī hai
Top Urdushayar.com