zulf  andher  karne  vaalī  hai
tum  ne  nāgan  balā  kī  paalī  hai
qalameñ  ruḳhsār-e-yār  par  dekho
surḳh  hai  phuul  sabz  Daalī  hai
ġhair  par  lutf  hai  sitam  ham  par
un  kī  jo  baat  hai  nirālī  hai
vaah  kyā  muñh  se  phuul  jhaḌte  haiñ
kitnī  pyārī  tumhārī  gaalī  hai
murġh-e-dil  bhī  hai  saath  chiḌiyā  ke
jaal  añgiyā  kī  un  kī  jaalī  hai
shab-e-furqat  ko  dekh  baḳht-e-siyāh
koī  bhī  raat  itnī  kaalī  hai
kyuuñ  qayāmat  kī  chaal  chaltī  ho
is  meñ  āshiq  kī  pā.emālī  hai
dahan-e-yār  kā  patā  na  lagā
baat  kahne  ko  ik  banā  lī  hai
nāf-e-ma.ashūq  saaf  motī  kī
nannhī-munnī  sī  ik  pyālī  hai
kyūñkar  un  ko  duuñ  mehr-o-mah  se  misāl
jin  ko  da.avā-e-be-misālī  hai
rañg  laa.ī  gilauriyāñ  kah  kar
laal  hoñThoñ  pe  aur  laalī  hai
dil  tasavvur  meñ  mahv  rahtā  hai
āshiq-e-shāhid-e-ḳhayālī  hai
kyuuñ  hañsā.e  na  mujh  se  riñd  ko  bañg
duḳht-e-raz  kī  bahan  hai  saalī  hai
dam  ġhanīmat  hai  us  masīhā  kā
ab  tabīboñ  se  shahr  ḳhālī  hai
ḳhaak  uḌaa.ī  hai  un  ke  kūche  kī
ham  ne  sar  par  zamīñ  uThā  lī  hai
dil  mirā  le  ke  arsh  par  hai  dimāġh
aur  hī  ab  mizāj-e-ālī  hai
kyuuñ  butoñ  kī  hameñ  mohabbat  dī
kyā  musībat  ḳhudā  ne  Daalī  hai
vaañ  kabhī  ġhair  se  kabhī  ham  haiñ
roz  mauqūfī  aur  bahālī  hai
de  ke  ik  bosa-e-lab-e-jāñ-baḳhsh
tan-e-be-jāñ  meñ  jaan  Daalī  hai
kyā  balā  gorī  gorī  rañgat  par
zulf  kaalī  hai  aañkh  kaalī  hai
haal  meñ  shā.irī  kā  hai  ye  Dhañg
apnā  jo  sher  hai  vo  haalī  hai
dekho  mujh  par  bahut  sitam  na  karo
paas  ai  jaan  kotavālī  hai
ham  se  inkār  vasl  kā  hai  abas
hogī  jo  baat  hone  vaalī  hai
un  ke  kūche  meñ  ḳhaak  ho  jaa.eñ
ham  ne  ik  raah  ye  nikālī  hai
yaar  pahlū  meñ  hai  na  jām-e-sharāb
ye  bhī  ḳhālī  hai  vo  bhī  ḳhālī  hai
hai  sitam  ye  anīle-pan  kā  banāo
kaan  meñ  ek  ek  baalī  hai
us  ke  maz.hab  kā  e.atibār  hai  kyā
'mehr'  ik  rind-e-lā-ubālī  hai