badan-e-yār  kī  bū-bās  uḌā  laa.e  havā
jaan  aa.e  jo  vahāñ  ho  ke  yahāñ  aa.e  havā
badan-e-yār  ko  bas  chhū  ke  na  itrā.e  havā
itr  kī  ban  ke  lipaT  mujh  se  lipaT  jaa.e  havā
un  ke  kūche  meñ  ġhubār  apnā  uḌā  kar  le  jaa.e
mujh  pe  ehsān  kare  mere  bhī  kaam  aa.e  havā
ho  havā-dār  savārī  kā  mire  dosh-e-sabā
nā-tavāñ  vo  huuñ  ki  us  tak  mujhe  pahuñchā.e  havā
bañdh  ga.ī  baaġh  meñ  terī  to  havā  bād-e-sabā
un  ke  kūche  meñ  mirī  aah  kī  bañdh  jaa.e  havā
ik  nigah  bād-e-havā.ī  bhī  tumhārī  hai  sitam
jaan  is  tīr-e-havā.ī  se  na  ho  jaa.e  havā
kyuuñ  na  ho  bād-e-bahārī  mujhe  ye  farmā.ish
kyuuñ  na  bāñdhūñ  maiñ  havā  yaar  jo  bandhvā.e  havā
kitnī  nāzuk  vo  parī  hai  ki  havā-dār  us  kā
sūrat-e-taḳht-e-sulaimāñ  rahā  bālā-e-havā
tū  mile  'mehr'  se  iimā  yahī  tārīḳh  ho  sach
gulshan-o-bāda-o-gul  meñ  tujhe  garmā.e  havā