Hatim Ali Mehr

chain pahlu mein use subh nahin sham nahin

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879

chain pahlū meñ use sub.h nahīñ shaam nahīñ

ek dam bhī dil-e-bīmār ko ārām nahīñ

ruḳh par nuur nahīñ zulf-e-siyah-fām nahīñ

vo zamāna nahīñ vo sub.h nahīñ shaam nahīñ

shahroñ shahroñ mirī rusvā.ī shohrā pahuñchā

mujh duniyā meñ koī āshiq-e-bad-nām nahīñ

chāñd tāroñ jhurmuT meñ zarā dekh ai dil

goñ meñ shoḳh-e-nasārā ye bū-tām nahīñ

vā.izoñ jaa.e jahannam meñ fazā-e-jannat

ḳhaar haiñ gul merī nazroñ meñ jo gulfām nahīñ

naale kartā huuñ kabhī kabhī tadbīr-e-visāl

aur to hijr shab meñ mujhe kuchh kaam nahīñ

fasl-e-gul aa.ī to kyā be-sar-o-sāmāñ haiñ ham

shīsha-o-jām nahīñ sāqī-e-gul-fām nahīñ

dil gayā diin gayā jaan ga.ī ulfat meñ

aur āġhāz dekhā abhī anjām nahīñ

bose do tiin to le lene mujh ko lillāh

kaam ke vaqt na kar o but ḳhud kaam nahīñ

laḳhlaḳha evaz us zulf sūghuñgā

hai tap-e-ishq meñ saudā mujhe sarsām nahīñ

naza.a meñ dekh ke jiitā huuñ tire koThe ko

lab-e-īsā hai ye ai jaan lab-e-bām nahīñ

'mehr' be-lutf hai bazm-e-sho.arā be-ma.ashūq

bulbuleñ chahchahe meñ haiñ koī gulfām nahīñ

Top Urdushayar.com