koī  le  kar  ḳhabar  nahīñ  aatā
jo  gayā  nāma-bar  nahīñ  aatā
chāñd  kis  jā  nazar  nahīñ  aatā
yaar  kyuuñ  mere  ghar  nahīñ  aatā
dam  mohabbat  kā  bhar  nahīñ  aatā
raaz  ifshā  to  kar  nahīñ  aatā
ishq  kyā  jaane  zāhid-e-be-maġhz
Dhañg  ye  umr-bhar  nahīñ  aatā
panDito  pattre  meñ  dekho  to
kyuuñ  mirā  nāma-bar  nahīñ  aatā
laala  har  saal  rañg  laatā  hai
rañg-e-dāġh-e-jigar  nahīñ  aatā
vo  to  kahte  haiñ  sabr  kar  chande
aur  yahāñ  sabr  kar  nahīñ  aatā
kabhī  pūchho  lipaT  ke  siine  se
ab  to  muñh  ko  jigar  nahīñ  aatā
shīsha-e-dil  meñ  o  parī-paikar
hai  parī  to  utar  nahīñ  aatā
ham  bhī  bāteñ  banāyā  karte  haiñ
sher  kahnā  magar  nahīñ  aatā
ġhuncha  gul  ho  ke  un  se  kahtā  hai
kis  kā  muñh  ko  jigar  nahīñ  aatā
rañg  laayā  nahīñ  abhī  ronā
abhī  laḳht-e-jigar  nahīñ  aatā
nāsehā  kyuuñ  na  ho  ḳhayāl  un  kā
ḳhvāb  to  rāt-bhar  nahīñ  aatā
umr-bhar  ik  tumhīñ  ko  pyaar  kiyā
dil  kahīñ  is  qadar  nahīñ  aatā
mere  marne  kī  kyā  nahīñ  hai  ḳhabar
kyuuñ  tū  ai  be-ḳhabar  nahīñ  aatā
kyuuñ  bigaḌiye  bane  bane  na  bane
ḳhair  bande  ko  shar  nahīñ  aatā
zab.h  mujh  ko  anīle-pan  ne  kiyā
qatl  qātil  ko  kar  nahīñ  aatā
kūcha-e-yār  hai  ki  jannat  hai
jo  gayā  phir  ke  ghar  nahīñ  aatā
yaar  koThe  pe  apne  chaḌhtā  hai
mah  falak  se  utar  nahīñ  aatā
jī  na  chāhe  jise  maiñ  kyā  chāhūñ
mujh  ko  be-maut  mar  nahīñ  aatā
dekh  kar  un  ko  jis  ko  dekhe  'mehr'
koī  itnā  nazar  nahīñ  aatā