Hatim Ali Mehr

gul-bang thi gulon ki hamara tarana tha

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
gul-bāñg thī guloñ kī hamārā tarāna thā
apnā bhī us chaman meñ kabhī āshiyāna thā
kūcha meñ us ke naala merā be-kasāna thā
apnā bhī is chaman meñ kabhī āshiyāna thā
jab koī zulf meñ bhī na kuchh daḳhl-e-shāna thā
saudā.ī thā mizāj merā āshiqāna thā
bulbul ko apnā naala mauzūñ tarāna thā
har gul bhī maa.il ġhazal-e-āshiqāna thā
nāloñ meñ bulbuloñ kī jo rañg-e-tarāna thā
fasl-e-bahār thī vo guloñ kā zamāna thā
uljhā huā jo gesū-e-jānāñ meñ shāna thā
sumbul meñ ek aur nayā shāḳh-e-shāna thā
saudā.iyoñ ko thī tirī uljhan balā kī raat
zulf-e-dotā kā tūl-o-tavīl ik fasāna thā
jaate haiñ aap aur burā haal hai mirā
aatī jo ab to maut ko achchhā bahāna thā
tīr-e-nigāh kī jo kamān thī juḌī huī
apnā jigar kabhī to kabhī dil nishāna thā
dariyā-e-mai kī ghaat utāreñge ham unheñ
shīrīñ kā jū-e-shīr kā aglā zamāna thā
apnī shab-e-visāl kā allāh-re ehtimām
shabnam kī shabnamī thī falak shāmiyāna thā
kamlī ko apnā taan ke soyā faqīr mast
kyā pashm thā amīroñ kā jo shāmiyāna thā
ka.aba kā ehtirām ḳhudā-sāz ho gayā
us vaqt meñ kahāñ ye tirā āstāna thā
dair-o-haram meñ kyā thā agar ham se pūchhiye
shāyān-e-sajda-e-yār tirā āstāna thā
kunj-e-qafas meñ shikva-e-sayyād kyā karūñ
us kā qusūr kyā hai merā āb-o-dāna thā
rozī huā hai dāna-e-zanjīr-o-āb-e-teġh
qismat kā āshiqoñ kī ye hai āb-o-dāna thā
lohe ke the chane tire chhīñTe ġhazab ke thī
sayyād ḳhuub apne liye āb-o-dāna thā
ho mujh sā andalīb ḳhush-ilhān asīr-e-dām
sayyād kā nasīb merā āb-o-dāna thā
gandum jo ḳhuld meñ to yahāñ thī sharāb-e-nāb
ik maiñ thā do jagah pe mirā āb-o-dāna thā
rind-e-sharāb-e-ḳhār rahā maiñ tamām-umr
añgūr kā nasīb mujhe āb-o-dāna thā
maiñ vo sadaf huuñ jis ke hai dariyā-dilī kā shor
jo hans chug rahā hai mirā āb-o-dāna thā
bulbul ke aage apnī baḌī baat rah ga.ī
ġhuncha se to kahīñ terā chhūTā diyā na haath
rañgīñ-ḳhayāliyāñ dam-e-fikr-e-suḳhan na thiiñ
zeb tan-e-urūs libās-e-shahāna thā
missī kabhī malī kabhī gesū banā kiye
shab-bhar shab-e-visāl meñ hīla-bahāna thā
tujh se sivā to ai sanam allāh kā hī naam
achchhā thā haañ hasīn thā yūsuf burā na thā
yārān-e-raftagāñ kā nishāñ ḳhaak DhūñDhiye
reg-e-ravāñ kā qāfila thā jo ravāna thā
muñh dekhī un ke sāmne kahte nahīñ haiñ ham
apnī zabān pe vasf-e-dahan ġhā.ebāna thā
bād-e-bahār jā ke oḌā laa.ī baaġh meñ
kyā ganj-e-shā.egān zar-e-gul kā ḳhazāna thā
apnā samand-e-umr jamā jam ke uḌ gayā
shāyad hamārā rāz-e-nafas tāziyāna thā
rāz-e-nihāñ kisī pe na apnā ayaañ huā
nā-āshnā-e-gosh hamārā fasāna thā
pahchāniye to ḳhaak ke putloñ kī ḳhaak ko
begāna kaun kaun sā un meñ yagāna thā
us sho.ala-rū kī thī jo dil-e-sāf meñ jagah
ātish-kada ye 'mehr' kā ā.īna-ḳhāna thā
Top Urdushayar.com