gul-bāñg  thī  guloñ  kī  hamārā  tarāna  thā
apnā  bhī  us  chaman  meñ  kabhī  āshiyāna  thā
kūcha  meñ  us  ke  naala  merā  be-kasāna  thā
apnā  bhī  is  chaman  meñ  kabhī  āshiyāna  thā
jab  koī  zulf  meñ  bhī  na  kuchh  daḳhl-e-shāna  thā
saudā.ī  thā  mizāj  merā  āshiqāna  thā
bulbul  ko  apnā  naala  mauzūñ  tarāna  thā
har  gul  bhī  maa.il  ġhazal-e-āshiqāna  thā
nāloñ  meñ  bulbuloñ  kī  jo  rañg-e-tarāna  thā
fasl-e-bahār  thī  vo  guloñ  kā  zamāna  thā
uljhā  huā  jo  gesū-e-jānāñ  meñ  shāna  thā
sumbul  meñ  ek  aur  nayā  shāḳh-e-shāna  thā
saudā.iyoñ  ko  thī  tirī  uljhan  balā  kī  raat
zulf-e-dotā  kā  tūl-o-tavīl  ik  fasāna  thā
jaate  haiñ  aap  aur  burā  haal  hai  mirā
aatī  jo  ab  to  maut  ko  achchhā  bahāna  thā
tīr-e-nigāh  kī  jo  kamān  thī  juḌī  huī
apnā  jigar  kabhī  to  kabhī  dil  nishāna  thā
dariyā-e-mai  kī  ghaat  utāreñge  ham  unheñ
shīrīñ  kā  jū-e-shīr  kā  aglā  zamāna  thā
apnī  shab-e-visāl  kā  allāh-re  ehtimām
shabnam  kī  shabnamī  thī  falak  shāmiyāna  thā
kamlī  ko  apnā  taan  ke  soyā  faqīr  mast
kyā  pashm  thā  amīroñ  kā  jo  shāmiyāna  thā
ka.aba  kā  ehtirām  ḳhudā-sāz  ho  gayā
us  vaqt  meñ  kahāñ  ye  tirā  āstāna  thā
dair-o-haram  meñ  kyā  thā  agar  ham  se  pūchhiye
shāyān-e-sajda-e-yār  tirā  āstāna  thā
kunj-e-qafas  meñ  shikva-e-sayyād  kyā  karūñ
us  kā  qusūr  kyā  hai  merā  āb-o-dāna  thā
rozī  huā  hai  dāna-e-zanjīr-o-āb-e-teġh
qismat  kā  āshiqoñ  kī  ye  hai  āb-o-dāna  thā
lohe  ke  the  chane  tire  chhīñTe  ġhazab  ke  thī
sayyād  ḳhuub  apne  liye  āb-o-dāna  thā
ho  mujh  sā  andalīb  ḳhush-ilhān  asīr-e-dām
sayyād  kā  nasīb  merā  āb-o-dāna  thā
gandum  jo  ḳhuld  meñ  to  yahāñ  thī  sharāb-e-nāb
ik  maiñ  thā  do  jagah  pe  mirā  āb-o-dāna  thā
rind-e-sharāb-e-ḳhār  rahā  maiñ  tamām-umr
añgūr  kā  nasīb  mujhe  āb-o-dāna  thā
maiñ  vo  sadaf  huuñ  jis  ke  hai  dariyā-dilī  kā  shor
jo  hans  chug  rahā  hai  mirā  āb-o-dāna  thā
bulbul  ke  aage  apnī  baḌī  baat  rah  ga.ī
ġhuncha  se  to  kahīñ  terā  chhūTā  diyā  na  haath
rañgīñ-ḳhayāliyāñ  dam-e-fikr-e-suḳhan  na  thiiñ
zeb  tan-e-urūs  libās-e-shahāna  thā
missī  kabhī  malī  kabhī  gesū  banā  kiye
shab-bhar  shab-e-visāl  meñ  hīla-bahāna  thā
tujh  se  sivā  to  ai  sanam  allāh  kā  hī  naam
achchhā  thā  haañ  hasīn  thā  yūsuf  burā  na  thā
yārān-e-raftagāñ  kā  nishāñ  ḳhaak  DhūñDhiye
reg-e-ravāñ  kā  qāfila  thā  jo  ravāna  thā
muñh  dekhī  un  ke  sāmne  kahte  nahīñ  haiñ  ham
apnī  zabān  pe  vasf-e-dahan  ġhā.ebāna  thā
bād-e-bahār  jā  ke  oḌā  laa.ī  baaġh  meñ
kyā  ganj-e-shā.egān  zar-e-gul  kā  ḳhazāna  thā
apnā  samand-e-umr  jamā  jam  ke  uḌ  gayā
shāyad  hamārā  rāz-e-nafas  tāziyāna  thā
rāz-e-nihāñ  kisī  pe  na  apnā  ayaañ  huā
nā-āshnā-e-gosh  hamārā  fasāna  thā
pahchāniye  to  ḳhaak  ke  putloñ  kī  ḳhaak  ko
begāna  kaun  kaun  sā  un  meñ  yagāna  thā
us  sho.ala-rū  kī  thī  jo  dil-e-sāf  meñ  jagah
ātish-kada  ye  'mehr'  kā  ā.īna-ḳhāna  thā