vārid  koh-e-bayābāñ  jab  meñ  dīvāna  huā
kohkan  se  dostī  majnūñ  se  yārāna  huā
vahshat-afzā  kis  qadar  apnā  bhī  afsāna  huā
merā  qissa  sunte  sunte  qais  dīvāna  huā
ḳhār-e-sahrā  par  ḳhirāmāñ  jab  maiñ  dīvāna  huā
ḳhūn-e-pā  se  rashk-e-pā.eñ  baaġh  vīrāna  huā
aañkh  nargis  se  laḌā  kar  āshnā  hī  andalīb
ai  gul-e-tar  ek  maiñ  aur  sabza  begāna  huā
pahniye  kafnī  qanā.at  hai  libās  faqīr  meñ
kab  tabdīl  us  ko  shakl  raḳht-e-shāhāna  huā
kal  vahāñ  par  hovegā  gor-e-ġharībāñ  kā  maqām
aaj  jis  jā  par  banā  qasr-e-amīrāna  huā
bai.at-e-daste-subū  kā  pas  pyālā  pī  liyā
taak  kā  shajara  milā  mashrab  bhī  rindāna  huā
sham-e-kaukal  dekhte  hī  anjuman  meñ  phaTak  gayā
ik  jale  tan  āshiqoñ  meñ  ham  sā  parvāna  huā
Tal  ga.ī  sar  se  balā  apnā  muqaddar  khul  gayā
mū-e-sar  meñ  aaj  dast-e-yār  kā  shāna  huā
ab  kahīñ  koī  Thikāna  hī  nahīñ  juz  kū-e-yār
murtad-e-ka.aba  huā  mardūd-e-but-ḳhāna  huā
jām-e-kausar  sāqī-e-kausar  bhī  deñge  hashr  meñ
dast-e-sāqī  se  ināyat  mujh  ko  paimāna  huā
kohr  kī  qutubeñ  haiñ  ai  mah  tirī  tasbīh  meñ
kaukab-e-sayyāra  saañ  raushan  har  ik  daana  huā
kaun  aisā  hai  jo  mujh  bekas  kī  dildārī  kare
darpa-e-jāñ  dost  dushman  apnā  begāna  huā
ḳhuub  hī  pakḌe  ye  kāfir  bhī  balā  kī  saañp  the
panja-e-afsūn-gar  kā  zulfoñ  meñ  tirī  shāna  huā
tum  batā  do  kis  jagah  rakhe  haiñ  dil  ushshāq  ke
DhūñDh  lūñgā  aap  merā  dil  hī  pahchānā  huā
sozan-e-īsā  ne  us  ke  paañv  ke  moze  siye
panja-e-ḳhurshīd  hāzir  le  ke  dastāna  huā
chāhtā  huuñ  apnī  zanjīreñ  junūñ  ke  josh  meñ
rizq  mere  vāste  zanjīr  kā  daana  huā
dar-ba-dar  maarā  phirā  maiñ  justujū-e-yār  meñ
zāhid-e-ka.aba  huā  rahbān-e-but-ḳhāna  huā
naam  par  mujh  bāda-kash  ke  saad  chashm-e-mast  hai
nāma-e-a.amāl  merā  ḳhat  paimāna  huā
mere  ghar  aayā  hai  mere  sher  sunñe  ko  vo  'mehr'
ġhairat-e-baitushsharaf  apnā  bhī  kāshāna  huā