ālam-e-hairat  kā  dekho  ye  tamāshā  ek  aur
yaar  ne  ā.īne  meñ  apnā  sā  dekhā  ek  aur
marne  vāloñ  meñ  rahā  jaatā  hai  jiitā  ek  aur
nīm-bismil  huuñ  maiñ  qātil  haath  puurā  ek  aur
rafta  rafta  dil  ko  dil  se  raah  ho  jaa.e  kahīñ
un  se  milne  kā  rahe  poshīda  rasta  ek  aur
ek  to  missī  kā  naqsha  jam  rahā  hai  shaam  se
paan  kī  laalī  ne  rañg  apnā  jamāyā  ek  aur
maiñ  ne  maanā  aap  ne  bose  diye  maiñ  ne  liye
vo  kahāñ  niklī  jo  hai  merī  tamannā  ek  aur
yaad  meñ  ik  shoḳh  punjabi  ke  rote  haiñ  jo  ham
āj-kal  punjab  meñ  bahtā  hai  dariyā  ek  aur
un  kā  jhūmar  dekh  kar  kahne  lage  ahl-e-zamīñ
dekh  le  ai  āsmāñ  aqd-e-surayyā  ek  aur
jīte-jī  to  dāman-e-sahrā  kā  ḳhil.at  mil  gayā
ba.ad  marne  ke  mile  un  kā  dupaTTa  ek  aur
bazm  se  saaqī  ke  ham  se  riñd  nikle  pāk-sāf
apnā  ab  ka.abe  meñ  pahuñchegā  musallā  ik  aur
shā.irān-e-asr  kī  tujh  ko  to  hai  paiġhambarī
bū-salīmī  bhī  hue  ai  'mehr'  paidā  ek  aur