Farhat Nadir Rizwi

gulon ka rang tapish KHushbuen samundar khinch

Farhat Nadir Rizwi

Darbhanga, Bihar, India

1972
guloñ kā rañg tapish ḳhushbūeñ samundar khīñch
kuchh is tarah se mirī aarzū kā paikar khīñch
nikal hī jaa.e na dam apnā āh-e-sozāñ se
zabāñ pe lafz to rakh is tarah na tevar khīñch
aTak rahā hai mirā dam nikal na pā.egā
sitam-shi.ār jigar se mire ye ḳhanjar khīñch
mahāz-e-jañg pe terī shikast āḳhir hai
hisār kar le ḳhud apnā tamām lashkar khīñch
ka.ī sitāre khiñche ā.eñge salāmī ko
tū is jagah se zarā haT ke apnā mehvar khīñch
tujhe to khīñch na paa.ī hayāt kī 'farhat'
jo tujh se ho sake ye zindagī kā patthar khīñch
Top Urdushayar.com