Farhat Nadir Rizwi

sukun-e-zat waqf-e-intishaar kar liya gaya

Farhat Nadir Rizwi

Darbhanga, Bihar, India

1972
sukūn-e-zāt vaqf-e-intishār kar liyā gayā
ġhazab huā ki dil kā e'tibār kar liyā gayā
qadam qadam mile jo aable rah-e-hayāt meñ
to āñsuoñ ko misl-e-ābshār kar liyā gayā
umīd-e-sub.h-o-shām ġham ke darmiyāñ basar jo kī
to sā.atoñ ko dard meñ shumār kar liyā gayā
milā fareb-o-makr se bhī kab vo hiila jo magar
libās sādgī kā dāġh-dār kar liyā gayā
nakīr ne madad baḌī hisāb rakh ke kī mirī
gunah tamām umr be-shumār kar liyā gayā
zabān-o-jism-o-jān-o-dil gavāh sab jo ban ga.e
to jurm un se ho ke darkinār kar liyā gayā
gavāh adliya subūt hāshiyoñ pe aa ga.e
hikāyatoñ pe aise e'tibār kar liyā gayā
zabān-e-hāl muntaḳhab huī bayān-e-dard ko
vajūd aap apnā tār-tār kar liyā gayā
garāñ zamīn-e-kisht-e-ġham-e-jigar ko naqd kī adā
masarratoñ kā vahm thā udhār kar liyā gayā
jo ek jaam 'farhat'-e-hayāt kī umiid thā
sitam ye hai ki vo bhī kal pukār kar liyā gayā
Top Urdushayar.com