Farhat Nadir Rizwi

kuchh sukun paun jo is sahn-e-makan se chhuTun

Farhat Nadir Rizwi

Darbhanga, Bihar, India

1972

kuchh sukūñ pā.ūñ jo is sahn-e-makāñ se chhūTūñ

phir nayā ek safar ho maiñ jahāñ se chhūTūñ

saare ehsās se har sūd-o-ziyāñ se chhūTūñ

ho ke ḳhāmosh gunāhān-e-bayāñ se chhūTūñ

tund-ḳhū tāzī-e-be-bāk ḳhirāmāñ qasam

kaash raftār-o-ram-o-raḳhsh-e-ravāñ se chhūTūñ

muzmahil ho ke Thaharne nahīñ detī sur.at

kaash āzād ho tausan ki inaañ se chhūTūñ

zikr kuchh dil na kuchh baat tamannāoñ

ḳhushk āñkheñ hoñ maiñ īzā-e-fuġhāñ se chhūTūñ

raqs ho ātish-e-sayyāl aur ḳhaak huuñ maiñ

gardish-e-shām-o-sahar dahar-o-zamāñ se chhūTūñ

tā.er-e-rūh har ik gosha-e-jāñ dekhtā hai

jism se jaan se kis dar se kahāñ se chhūTūñ

chhūTūñ 'farhat' se aziyyat se sukūñ se ġham se

nā-tavānī se sahī tāb-o-tavāñ se chhūTūñ

Top Urdushayar.com