hijr  meñ  jab  ḳhayāl-e-yār  aayā
lab  pe  naala  hazār  baar  aayā
phir  safā.ī  kī  kaun  sī  sūrat
aap  ke  dil  meñ  jab  ġhubār  aayā
kījiye  zabah  khīñchiye  ḳhanjar
lījiye  ye  gunāhgār  aayā
bole  Thukrā  ke  mere  marqad  ko
ab  tujhe  kis  tarah  qarār  aayā
tū  ne  hāsil  'nasīm'  kuchh  na  kiyā
kuchh  bhī  tujh  ko  na  mere  yaar  aayā