ġhair  ke  ghar  haiñ  vo  mehmān  baḌī  mushkil  hai
jaan  jaane  ke  haiñ  sāmān  baḌī  mushkil  hai
kahte  haiñ  aap  haiñ  jis  baat  ke  tālib  ham  se
hai  vahī  ġhair  ko  armān  baḌī  mushkil  hai
aur  phir  kis  se  kahūñ  hāl-e-pareshānī-e-dil
tum  to  hote  ho  pareshān  baḌī  mushkil  hai
be-mile  kaam  bhī  chaltā  nahīñ  milnā  bhī  zarūr
ġhair  se  jaan  na  pahchān  baḌī  mushkil  hai
us  ne  lī  jaan  hazāroñ  kī  ye  dam  de  de  kar
ham  pe  marnā  nahīñ  āsān  baḌī  mushkil  hai
vo  uThā  lete  haiñ  ye  rakh  rakh  ke  chhurī  gardan  par
kaam  hotā  nahīñ  āsān  baḌī  mushkil  hai
rāz-e-dil  us  but-e-bad-ḳhū  se  kahūñ  yā  na  kahūñ
baat  nāzuk  hai  vo  nādān  baḌī  mushkil  hai
roz  kahte  ho  ki  tū  kis  ke  liye  hai  betāb
jaan  kar  bante  ho  anjān  baḌī  mushkil  hai
dostī  sahal  nahīñ  us  but-e-bad-ḳhū  se  'nasīm'
zid  na  kar  dekh  mirī  jaan  baḌī  mushkil  hai