bahār  aa.ī  hai  phir  vahshat  ke  sāmāñ  hote  jaate  haiñ
mire  siine  meñ  dāġhoñ  ke  gulistāñ  hote  jaate  haiñ
mujhe  bachpan  kar  ke  dil-dahī  bhī  hotī  jaatī  hai
jafā.eñ  karte  jaate  haiñ  pashemāñ  hote  jaate  haiñ
kahāñ  jaatā  hai  ai  dil  shikva-e-mehr-o-vafā  karne
vahāñ  be-dād  karne  ke  bhī  ehsāñ  hote  jaate  haiñ
'nasīm'-e-zinda-dil  marne  lage  haiñ  ḳhūb-rūyoñ  par
ġhazab  hai  aise  dānish-mand  nādāñ  hote  jaate  haiñ