thī  niiñd  merī  magar  us  meñ  ḳhvāb  us  kā  thā
badan  mirā  thā  badan  meñ  azaab  us  kā  thā
safīne  chand  ḳhushī  ke  zarūr  apne  the
magar  vo  sail-e-ġham-e-be-hisāb  us  kā  thā
diye  bujhe  to  havā  ko  kiyā  gayā  badnām
qusūr  ham  ne  kiyā  ehtisāb  us  kā  thā
ye  kis  hisāb  se  kī  tū  ne  raushnī  taqsīm
sitāre  mujh  ko  mile  māhtāb  us  kā  thā
falak  pe  kirchiyāñ  āñkhoñ  meñ  motiyā  aañsū
jo  reza  reza  huā  āftāb  us  kā  thā
mirī  zarā  sī  chamak  ko  kaḌak  ne  Tok  diyā
savāl  tujh  se  kiyā  thā  javāb  us  kā  thā
khulī  kitāb  thī  phūloñ-bharī  zamīñ  merī
kitāb  merī  thī  rañg-e-kitāb  us  kā  thā