dhaar  sī  taaza  lahū  kī  shabnam-afshānī  meñ  hai
sub.h  ik  bhīgī  huī  palkoñ  kī  tābānī  meñ  hai
aañkh  hai  labrez  shāyad  ro  paḌegā  tū  abhī
jaise  zillat  kā  mudāvā  aañkh  ke  paanī  meñ  hai
maiñ  nahīñ  haarā  tū  mere  hausle  kī  daad  de
ik  nayā  azm-e-safar  is  ḳhasta-sāmānī  meñ  hai
be-samar  be-rañg  mausam  barf  kī  sūrat  safed
aur  dil  umDe  hue  rañgoñ  kī  tuġhyānī  meñ  hai
aag  hai  siine  meñ  tere  maujzan  tū  yaad  rakh
sham.a  sī  raushan  añdhere  ghar  kī  vīrānī  meñ  hai
an-ginat  rañgoñ  ke  par  bikhre  paḌe  haiñ  har  taraf
vaqt  kā  ghāyal  parinda  phir  se  jaulānī  meñ  hai
kis  ghane  jañgal  meñ  jā  kar  ab  chhupeñ  bastī  ke  log
aañkh  sī  ubhrī  huī  sūraj  kī  peshānī  meñ  hai