jabīn-e-sañg  pe  likkhā  mirā  fasāna  gayā
maiñ  rahguzar  thā  mujhe  rauñd  kar  zamāna  gayā
naqāb  oḌh  ke  aa.e  the  raat  ke  qazzāq
pighaltī  shaam  se  sab  dhuup  kā  ḳhazāna  gayā
kise  ḳhabar  vo  ravāna  bhī  ho  sakā  ki  nahīñ
tumhāre  shahr  se  jab  us  kā  āb-o-dāna  gayā
vo  chal  diyā  to  nigāhoñ  se  ki  diloñ  se  ġhurūr
laboñ  se  zahr  havāoñ  se  tāziyāna  gayā
ye  jāntā  huuñ  ki  tū  ne  liyā  thā  rok  use
magar  vo  ātishīñ  aañsū  mujhe  jalā  na  gayā
maiñ  ek  Doltā  sāgar  mujhe  uThātā  kaun
ghaTā  uThā  ke  chalī  thī  magar  chalā  na  gayā
kahāñ  gayā  maiñ  bichhaḌ  kar  kise  ḳhabar  hogī
jo  ek  baar  yahāñ  se  huā  ravāna  gayā