Wazir Agha

aasman par abr-pare ka safar mere liye

Wazir Agha

Sargodha, Punjab, Pakistan

1922-2010

āsmāñ par abr-pāre safar mere liye

ḳhaak par mahkā huā chhoTā ghar mere liye

lafz chhāgal jo chahke ḳhāk-dāñ ābād ho

vajd meñ aane lageñ saare shajar mere liye

duur tak uḌte hue jugnū tirī āvāz ke

duur tak reg-e-ravāñ par ik nagar mere liye

āshnā nazroñ se dekheñ raat bhar taare tujhe

ghūrtī āñkhoñ ye bastī magar mere liye

le ga.ī hai saarī ḳhushbū chhīn kar ThanDī havā

pattiyāñ bikhrī paḌī haiñ ḳhaak par mere liye

band us ne kar liye the ghar ke darvāze agar

phir khulā kyuuñ rah gayā thā ek dar mere liye

ḳhaak par bikhre hue qadmoñ-tale rauñde hue

tohfatan laa.ī havā mere par mere liye

Top Urdushayar.com