Abbas Ali Khan Bekhud

naza ki saKHti baDhi un ko pasheman dekh kar

Abbas Ali Khan Bekhud

Kolkata, West Bengal, India

1906-1969

naza.a saḳhtī baḌhī un ko pashemāñ dekh kar

maut mushkil ho ga.ī jiine sāmāñ dekh kar

vo kabhī jab iltifāt-e-nāz se lete haiñ kaam

kaañp jaatā huuñ maiñ apne dil ke armāñ dekh kar

karte haiñ arbāb-e-dil andāza-e-josh-e-bahār

merā dāman dekh kar merā garebāñ dekh kar

vo na aglā bāġhbāñ hai ab na agle ham-safīr

yaad kartā huuñ qafas ko maiñ gulistāñ dekh kar

allāh allāh mujh aasī darḳhur-e-rahmat huā

rashk-e-zāhid to bhī hai ye qadr-e-isyāñ dekh kar

ai but-e-kāfir ma.āz-allāh ye terā shabāb

koī kāfir rahegā ab musalmāñ dekh kar

in butoñ ne mujh ko be-ḳhud kis qadar dhoke diye

sīdhā-sāda jaan kar mard-e-musalmāñ dekh kar

Top Urdushayar.com