Abbas Ali Khan Bekhud

main to fida-e-nargis-e-mastana ho gaya

Abbas Ali Khan Bekhud

Kolkata, West Bengal, India

1906-1969

maiñ to fidā-e-nargis-e-mastāna ho gayā

paimāna se dil ab mirā mai-ḳhāna ho gayā

har rañg meñ mujhe hai ma.e mushk-bū rañg

jo zarf haath aa gayā paimāna ho gayā

kuchh maḳhmasāt-e-dahr the dīvāngī se kam

achchhā huā ki ishq meñ dīvāna ho gayā

dil chāhiye gudāz nahīñ zor-o-zar se kaam

apnī misāl ishq meñ parvāna ho gayā

hotā na bāġh-e-dil kabhī shāhān-e-iltifāt

achchhā huā bahār meñ vīrāna ho gayā

dānā.ī zer-e-dām hai ai murġh-e-dil abas

maanā ki daana khā ke ab daanā ho gayā

'beḳhud' to nā-rasā.ī zulf-e-butāñ na pūchh

qismat pe merī ḳhanda-zan ab shāna ho gayā

Top Urdushayar.com