dil  jab  se  tire  hijr  meñ  bīmār  paḌā  hai
jiine  se  ḳhafā  jaan  se  be-zār  paḌā  hai
saudā  na  banā  gesū-e-jānāñ  se  to  kyā  ġham
le  leñge  kahīñ  aur  se  bāzār  paḌā  hai
parhez  tap-e-hijr  se  hai  tujh  ko  jo  ai  dil
tū  aur  bhī  aage  kabhī  bīmār  paḌā  hai
farmā.iye  roke  se  ruke  haiñ  kabhī  āshiq
darvāze  pe  qufl  aap  ke  sau  baar  paḌā  hai
maiñ  dair  o  haram  ho  ke  tire  kūche  meñ  pahuñchā
do  manziloñ  kā  pher  bas  ai  yaar  paḌā  hai
kī  tark-e-mohabbat  to  liyā  dard-e-jigar  mol
parhez  se  dil  aur  bhī  bīmār  paḌā  hai
tauqīr  nahīñ  anjuman-e-ḳhās  meñ  dil  kī
shīsha  tire  mai-ḳhāna  meñ  bekār  paḌā  hai
kuchh  shām-e-judā.ī  meñ  sujhā.ī  nahīñ  detā
parda  ḳhirad  o  hosh  pe  ai  yaar  paḌā  hai
'jauhar'  kahīñ  biktī  hī  nahīñ  jins-e-mohabbat
kyā  qaht  vafā  kā  sar-e-bāzār  paḌā  hai