us  kā  mizāj  pūchho  jo  har  vaqt  paas  hai
us  kī  balā  se  dil  jo  hamārā  udaas  hai
poshāk  se  badan  kī  tajallī  hai  āshkār
fānūs-e-sham-e-tūr  tumhārā  libās  hai
dil  toḌ  kar  vo  nashshe  meñ  kahte  haiñ  naaz  se
kis  kaam  kā  rahā  hai  ye  TuuTā  glass  hai
farmā.iye  mizāj-e-mubārak  hai  kis  tarah
kuchh  ḳhair  to  hai  kis  liye  chehra  udaas  hai
muddat  ke  ba.ad  aaj  to  tanhā  mile  huzūr
us  par  bhī  pūchhte  haiñ  ki  kyā  iltimās  hai
talvār  kī  hai  qadr-shanāsī  ke  dam  ke  saath
'jauhar'  ko  jāntā  hai  jo  jauhar-shanās  hai